Jaun Elia | Kia Laga Tha K Khud Ko Mujh Main Nachor Doge | Kitab e Maazi | Urdu Poetry

Jaun Elia | Kia Laga Tha K Khud Ko Mujh Main Nachor Doge | Kitab e Maazi | Urdu Poetry

Very Rare Ghazal of Jaun Elia
Presented By Kitab e Maazi
Voice Muhammad Taimoor
Edit By Hamza Shahid

—————

Official facebook Page of Kitab e Maazi

Facebook – https://www.facebook.com/kitabemaazi

Twitter – https://www.twitter.com/kitabemaazi

YouTube: Subscribe us for more urdu poetry videos.

https://www.youtube.com/channel/UCi4BwqAcXuHVo-IZ_EkpYdg

————-

Kia Laga Tha K Khud Ko Mujh Main Nichor Doge?
Phir Hum Se Pouchoge Ghum Humare
Jab Dil Bharega To Chor Doge?

Btao Jana’n. Yahi Laga Tha?

Ye Be Zarar Sa Jo Aik Larka
Aajizi Ka Libas Orhay
Galeez Logon Main Jee Rha Hai
Baha K Ansu Ataab E Ibrat
Bohat Tasali Se Pee Rha Hai
Bohat He Chup Hai
To Chup Rahega?

K Roshni Bhi Ye Keh Rhi Thi
Kia Ab Andhera He Gup Rahega?

To Aisi Sochen Ghulam Dil Se Nikal Phenko
Agar Andhera Yahan Pe Aye To Os Pe Meri
Wo Shaal Phenko.

Wo Shaal Jaan’n
Jo Hum Ne Soraj Se Teri Khatir Udhaar Li Thi

Wo Shaal Jaan’n
K Jis Main Hum Ne Khizan Chupa K Bahar Li Thi

Agr Wo Phir Bhi Na Peecha Chore To Osko Kehna
K Mujhko Haider Ne Ye Kaha Hai
K Roshni Ki Na Fikar Krna
Kisi Se Mera Na Zikar Krna
Main Apne Hisay K Sare Jugnu
Tumhare Qadmon Main Daal Donga
K Ab Andhere Ne Tujh Ko Dekha
To Oski Ankhain Nikal Donga..

Magar Zamana Badal Chuka Hai.
Tamam Cheezain Jo Muft Li Thi
Ab Tum Onka Hisab Likho
K Main Ne Likha Tha Aik Safha
Tum Osk Badlay Kitab Likho

Likho K Kaise Sharab Chori
Likho K Kaise Janab Chori
Likho K Kaise Wo Waaday Toray
Likho K Kaise Yun Apne Choray
Likho K Kaise Chala Tha Haider
Likho K Kaise Jala Tha Haider
Likho K Kaise Wo Chup Raha Tha
Likho Andera Bhi Gup Raha Tha

Magar Ye Likhne K Wastay To
Tumhen Bhi Jalna Parega
Tumhain Bhi Meri Tarhn Akela Jee K
Marna Parega Jaan’n

Magar Ye Tum Se Kabhi Bhi Lekin
Na Ho Saka Hai Na Ho Skega
K Koi Bhi Ab Such Ka Peecha
Na Kr Rha Hai Na Kr Skega

To Choro Jaan’n Sawal Saray
Faqat Tum Apna Jawab Sun Lo
Mera Sara Azaab Sun Lo
K Kon Hon Main?

Agr Tum Pouchoge Mera Shajra
To Ghaznvi Ka Oon Hon Main
Kabhi Jo Latka Tha Sooli Pr Wo
An-ul-haq Ka Janoon Hon Main
Kabhi Main Sub Ka Jawab Dy Don
Kabhi Sawal E Badoon Hon Main

Kabhi Main Cheekon Bharak Bharak Kr
Kabhi Sarapa Sukoon Hon Main
Kabhi Main Jhailon Zamanay Bhar Ko
Kabhi Shikasta Satoon Hon Main

Kabhi Main Parh Lon Namazein Sari
Kabhi Faraiz Ka Khoon Hon Main

Agar Safai Nahi Ye Kaafi..
Abhi Bhi Shak Hai K Kon Hon Main

To Fariha Bhi Ye Keh Rhi Hai
Naye Zamanay Ka Baghi Hon Main

Sun Lia Na K Kon Hon Main?

Baghi Tha
Wo Baghi Hon Main

——————

Kitab e Maazi
jaun elia
jaun elia poetry
jaun elia mushaira
jaun elia best poetry
jaun elia interview
jaun elia songs
jaun elia last mushaira
jaun eliya
jaun elia tribute
jaun elia ghazal
jaun elia ghazal in hindi
jaun elia ghazal nahi to
jaun elia ghazal rekhta
jaun elia ghazal song
jaun elia crying
jaun elia best
jaun elia live
jaun elia death
jaun elia biography
jaun elia biography in urdu
jaun elia ajnabi shaam
jaun elia akhri baar
jaun elia agar ijazat ho
jaun elia about ghalib
jaun elia audio
jaun elia and rahat indori
jaun elia funny
jaun elia family
jaun elia english translation
jaun elia history in urdu
jaun elia ghazal in hindi
jaun elia about pakistan
jaun elia poetry
jaun elia ghazal
jaun elia real name
jaun elia urdu poetry
jaun elia poetry images
jaun elia all books
jaun elia shayari
jaun elia best ghazal
jaun elia collection
jaun elia cover photos
jaun elia documentary
jaun elia sher
saghar siddiqui poetry images
obaidullah aleem mushaira
parveen shakir best poetry
wasi shah poetry
qateel shifai best ghazal
mohsin naqvi ghazals
sad poetry heart touching
Naya Ek Rabt
Mera Intkam Dekhegi
Best Urdu 2 line Poetry
Hindi Sad Poetry
Two line best poetry video
2 line poetry
best poetry urdu ghazal
Urdu Ghazal Poetry
Sad Poetry
Sad Love Poetry
Sad Urdu Ghazal Shayari
Urdu Sad Ghazal Poetry
best poetry
best poetry urdu ghazal
sad poetry urdu pic
sad poetry in urdu song
sad poetry status
best poetry urdu
best poetry books
sad poetry in urdu
best poetry songs

Related Post: